Ghazal

Use aaj mile zamaanaa ho gaya 
vaise roz ha.nse zamaanaa ho gaya 


Tere jaane ke baad lagta hai ki 
kuch accha hu.e zamaanaa ho gaya 


Aaj gaur se sochne par lagtaa hai ki 
mere aa.nsuu gire zamaanaa ho gaya 


Duusro.n se aatur hai milne ko hum 
bas khud se mile zamaanaa ho gaya 


Vaaizo.n ko khudaa ka kaam karte 
ab to dekhe zamaanaa ho gaya 


Kisike naam ke zikr se ab to 
sharmaaye zamaanaa ho gaya 


Tera vaadaa tha ki phir milenge hum 
vo vaada kiye zamana ho gaya 


Aaj aqs dekh kar lagtaa hai ki 
khud se baat kiye zamaanaa ho gaya 


Ai khudaa ke baare mein puchne vaalo 
use bhulaa.e zamaanaa ho gaya 


Vo baate.n vaazeh hain zehen mein ab tak 
kyaa waaqae zamaana ho gaya? 


-Fasahat


Meanings:

Aatur- eager 

Vaaizon- religious preachers 

Aqs- reflection 

Vaazeh- clear/evident 

Zehen- mind 

Waaqae- really

Popular posts from this blog

Ghazal (Gujarati)

Nazm

Ghazal