Ghazal

Uskii yaado.n ne sataayaa phir mujhe 
dariyaa-e-gham mein duboyaa phir mujhe

 
Maazii ke khush-haal palo.n ne aaj to 
yuu.n baithe baithe hansaya phir mujhe

 
Maa ne khvaabo.n mein aa kar aaj mere 
Uskii godii mein sulaayaa phir mujhe

 
Merii khairiyat ke mutaaliq puuch kar foran 
Dusrii baato.n mein ghumaayaa phir mujhe 


Usne talkhiyo.n ke vaar se baar baar 
Aise hii aazmaayaa phir mujhe 


-Fasahat


Meanings:

Dariya-e-gham - river of sorrow 

Maazii - past 

Khush-haal - happy 

Khairyat- well being 

Mutaaliq- about (baare mein) 

Foran- immediately 

Talkhiyon- bitterness 

Aazmaayaa- to test

Popular posts from this blog

Ghazal (Gujarati)

Nazm

Ghazal